Tuesday, 20 September 2011

Suraj Tiwari

Mere Har Ek Zakhham Mein Tum Meri Dwa Ho,
Jab Bhi Kare  Dga Koi, To Tum Meri Wafa Ho,
Yun To Mujhe Duaaon Ki Zarurat Nahi,
Main Janta Hun Ki,
Tum Hi Mere Khuda Ho.

TUMHARI YAAD MEIN HAR PAL JIYA KARTE HAI HUM,
BATTIYAN BUJHA KAR RATON MEIN ROYA KARTEN HAI HUM,
CHUPA LETE HAIN DUNIYA WALE TUMHEN APNI AAGOSH MEIN,
MAGAR PHIR BHI CHUPKE SE TUMHEN DEKH LIYA KARTE HAI HUM.



din andhera lagta hai  aur raat kali lagti hai,

jab tum nahi hote ho saath mein mera,

zindgi khali-2 lagti hai,

yun to aitwar hai mujhe har ek dagar  ka,

par darta hun har  ek kadam par,

jab tu mujh se door-2 chalti hai,

itni badhi duniya mein dekhe jane kitne chehre,

jab dil se nihar ke dekha sabko,

to sirf tu hi,sirf tu, sirf tu hi meri lagti hai.

na to main rang hun, ki tujh pe main apna  asar chhod jaunga,

na to main phool hun,ki tujh pe apni mahak chhod jaunga,

kyon kahti ho ki tum mujhe bhool nahi paaogi,

na to main tumhara shahar hun,ki tumhen hamesha yaad aaunga.


Naa Jaane Kyu Har Shaam Itni Udaas Si Ho Gayi
Bahaar Mein Bhi Meri Zindagi Veeran Si Ho Gayi
Jis Pal Se Humne Jeene Ki Khwaaish Chhod Di
Usi Pal Se Maut Bhi Humse Kuch Naaraz Si Ho Gayi

kisi ke Jaane Se Saanse Kabhi rukti nahi
kisi ke Na Laut aane Se Jindagi Kabhi thamti nahi
khwaish har Waqt Rehti Hai Dil Mein Usse Pane ki
Har Khwaish Poori ho Par Yeh bhi to Jaroori nahi

Jee bhar ke roye to karar paaya
is daur me kisne saacha dost paaya
guzar rahi hai zindagi imtihano ke daur me
ek zakham bhara nahi ke dausra tayaar paaya


malum nahi kyon itna yaad aate ho tum,

jitna tumhen yadd karta hun,

utna hi aur yaad aate ho tum,

main jaagta hun raton mein sirf tere khayal ki khatir,

par jaane kyon kisi aur ke khyal mein chale jate ho tum



Ghum Ke Sagar Me Kahi Dob Na Jana
Raho Pe Chal Ke Manzil Na Pao To Tot Na Jana
Zindagi Me Agar Dost Ki Kami Mehsos Ho Tou
Abhi Ham Zinda Hai Ye Bhol Na Jana…
`
Dur Hain Apse Tu Kuch Ghum Nahi
Dur Reh Kar Bhi Bhulne Walay Hum Nahi
Roz Mulaqaat Na Ho Tu Kya Howa
Apki Yaadein Bhi Mulaqaat Se Kam Nahi…
`
Koi Cheez Bewafaii Se Barh Kar Kya Hogi
Ghum-E-Imtihan Judai Se Barh Kar Kya Hogi?
Kisi Ko Deni Ho Jawani Me Saza
To Parhaii Se Barh Kar Saza Kya Hogi…
`
Beetay Pal Wapas Laa Nahi Sakte
Sookhe Phool Wapas Khila Nahi Sakte
Kabhi Kabhi Lagta Hai Aap Hame Bhol Gaye
Par Dil Kehta Hay Ko Ap Hume Bhula Nahi Sakte…
`
Ishq Ho To Aansuon Ki B Shan Hoti Hai
Ishq Na Ho To Mehfil B Samshan Hoti Hai
Sara Khel To BEWAFAI Ka Hi Hai
Varna JANAZA Or BARAAT Ek Saman Hoti Hai





Aaj  chalti hain hwa jo purab se kabhi, na jane kyon mujhe meri maa(village) yaad aati hai

Dekhta hun jo kisi ko shahar mein, lohe ke jhoolon par jhoolte huye,

mujhe mere peepal ki yaad aati hai.

kaise bhool sakta hun vo nahar mein kood kar nahan,

badhe ajeeb halat hain is shar ke, yahan to har boond paise se aati hai,

gaon mein the to ghumte the khuli hawa mein,

shar ki hawa bhi to badhi buri hai,

sayad isiliye shar ke logon ko maut jalldi aati hai,

shaam ko lauta hun jab to koi nahi puchhta ki jinda hai ya mar gaye,

har ek dard mein mujhe meri maa(mother) ki yaad aati hai,

office mein bulata hai jo mera boss gusse mein awaj dekar,

vo payri si awaj mere papa ke bulane ki,

bahut dhimi aawaj mai mere kanon mai gunj jati hai.

Akelepan ne majboor kar diya khud se baten karna,

mujhe meri baat par vo nahar ka pul aur vo chhoti si puliya yaad aati hai.

jab bhi chalit hain .........


Phir uski yaad, phir dil ke jajbaat,

bichhadh kar jaise aaj bhi hai vo mere saath,

dil aapbeeti bhi sunata hai use bhulne ke liye

phir ankhon ke samne uska akks kahta hai,

jism se nahi par dil se aaj bhi hai  vo mere saath,

maine use kabhi bebafa nahi kahaa,

door huyi hogi jab vo mujh se sayad,

sayad sahi nhi hoge uske halat.


Dil mein chupaye baithi thi muhabbat ka samandar,
Par lavon se kabhi bayan na kiya,
Maine ek jhoot ka patthar jo pheka,
Ek pal mein  usne sab bayan kar diya,
Mujhe lagta tha main chahta hun use had se jyada,
ab jana hai maine ki usne mujhe, khud se bhi jyada  pyar kiya.

3 comments: